Yeh parbaton ke daayare yeh shaam ka dhuan Aise mein kyon na chhed dein dilon ki dastan
Zara si zulf khol do fiza mein itr ghol do Nazar jo baat keh chuki woh baat munh se bol do Ki jhoom uthe nigaah mein bahaar ka samaan Yeh parbaton ke daayare...
Yeh chup bhi ek sawal hai ajib dil ka haal hai Har ik khayal kho gaya bas ab yehi khayal hai Ki fasla na kuchh rahe hamare darmiyan Yeh parbaton ke daayare...
Yeh roop rang yeh phaban chamakte chaand sa badan Bura na maano tum agar to choom loon kiran kiran Ki aaj hausalon mein hai balaa ki garmiyaan Yeh parbaton ke daayare....