Aise mein kyon na chhed dein dilon ki dastan
Zara si zulf khol do fiza mein itr ghol do
Nazar jo baat keh chuki woh baat munh se bol do
Ki jhoom uthe nigaah mein bahaar ka samaan
Yeh parbaton ke daayare...
Yeh chup bhi ek sawal hai ajib dil ka haal hai
Har ik khayal kho gaya bas ab yehi khayal hai
Ki fasla na kuchh rahe hamare darmiyan
Yeh parbaton ke daayare...
Yeh roop rang yeh phaban chamakte chaand sa badan
Bura na maano tum agar to choom loon kiran kiran
Ki aaj hausalon mein hai balaa ki garmiyaan
Yeh parbaton ke daayare....
|
No comments:
Post a Comment